This is another poem by me.As again,enjoy it but don't steal it.
Comments,brickbats,welcome.
pichale dino kuch kutte mere paas aye,
bole thukral ji, apni rishtedaari ka faarz nibhayeen,
humeen kuch sawal sata raheen hain,
kripya kar humeen unka uttar batayeen.
unka sawal sunke main chaunk gaya,
laga koi mere kaan ke paas bhaunk gaya,
vo bole batayeeye,kya hota,yadi insaan kuute ke lakhshan dekhlenge?
main bola,mujh ko aapko sunghta hua payenge ,
agar aisa hota to manav badi mushkil mein pad jayega,
soocho ki itni pareshaaniyoon ka hal kahaan se layega?
classroom mein bacchoon ki waat lag jayegi,
teacher par gussa unki poonch hi batlayegi,
pati patni ke samne jitna ab bolta hai,uss se kam bol payega,
patni ki daant ke saamne sirf poonch hilata reh jayega.
"i love you" to lupt ho gayega,
har premi apni premika se chaahat,
laar tapka ke dikhlayega.
har seat mein ek ched payajayega,
aur har aadmi baithne se pehle,apni poonch ko fit karayega,
subko sadk par bhi dekh kar chalna padega,
poonch ke upar nikalti gaadiyoon ko bhi jhelna padega,
sach boloon to gussa to tab aayega,
jab office ke liye jata vyakti,
pille ki tarah chillayega.
aur jab kissi ko prakrati ki pukaar ayegi,
tab voh usko kaise seh payeega,
aas pass bathroom ho na ho,
insaan pehle khambe se hi kaam chala ega.
aur jab khali ho jaye ega,to aur bura lagega,
jab aadmi mitti jhaad kar kiye karaaye ko dhakega.
jagah jagah sungte aadmi,kis tarah jeebh dikhlayenge,
jab ek bus pakadne ke liye,stand tak hunfte hue ayeenge.
aur yadi doberman ki tarah,
kuch aadmi,bina poonch ke paye jayenge,
to shyayad ye sach ho ki vo,
IIT,IIM mein quot e ka laabh uthayenge.
par asli dikaat to tab ayeegi,jab kisi bacche ka janam hoga,
pandit ji kahenge ki bacche ka naam B se hoga,
chachi chacha,dada dadi,jab bacche ka naam sujhayenge,
aur us ko,aajeevan,boxer ke naam se bulayenge.
Bua fufa,didi bhaiya,sab bacche ko dekne ayenge,
aur us ne naak naksh uske mummy papa se milaenge.
Kahenge,iski naak papa se milti hi,kaan mummy se,
aur bacche ki poonch ko uske dada ki batlayenge.
Par ek samudaye jo is baat ka fayeeda khoob uthayega,
wo aur koi nahi neta kehlayega,
kyunki wo jo pehle tha,wahi baad mein bhi kelhayega,
kuute ka naam uske naam par char chand lagayega.
Sahi maniye,kutta insaan se har haal mein sachha hai,
aur is duniya mein,neta se to kutta hi accha hai.
SAMEER THUKRAL
Thursday, June 08, 2006
Subscribe to:
Posts (Atom)