Friday, March 20, 2009

palken..

Palken

this poem has literally occurred to me!
literally occurred.



darakhton ke beech se,woh jhaankti palke,
uthti palken,jhukti palken,
gir ke uthti,sambhalti palken,
dhoondhti hai,na jaane kaunsa nazara
door jhankti,woh khoyee si palken.

bikhare kaajal ka intehan ye palken,
ek shayar ki hai,sazza ye palken,
doobti ubharti sawarti palken,
par na jaane aaj kyun,
hain,num ye palken,num ye palken.

falak se zameen tak,taankti palken,
shaam ki chuppi mein gumsum si palken,
dilon ko cheerti,chalakti palken,
kuch kehne se khud ko rokti palken,
falakti palken,chalakti palken,
par na jaane kyun
phir bhi nam ye palken,
nam ye palken.

3 comments:

  1. likha to lajawaab hai...par maamla total filmi hai...darkhthon kee beech wala to pura filmi hai...
    INDIANS ROCK...

    ReplyDelete
  2. jiski aankhein... uski palken
    ok ok ... u asked fr a comment na ? :P

    ReplyDelete
  3. i totally love it :) ... hindi mein likh deta :P its magical ... :)

    ReplyDelete

Commentwa?